Powered By Blogger Kaise Remove Kare Hindi Mein - How To Remove Powered By Blogger In Hindi
1. Introduction
Sabhi Ko Namaskar! Kuch Problem Hone K Wajaah Se Mein Post Update Kar Nehi Paya Tha. Humko "Powered By Blogger" Ko Remove Karne Se Pehle Yeh Janna Jaruri Hai Ki Yeh Hai Kya? Blog Mein Iska Importance Kya Hai? Isiliye Simple Language Mein Aaplogo Ko Batana Jaa Raha Hu. Kripaya Is Baat Par Gaur Kijiyega. New Blogger K Liye Yeh Baate Behat Important Hai.
Jab Aaplog Blogger.com Se Apna Blog Create Karenge Toh Blog K Niche "Powered By Blogger" Likha Hua Milega. Isme Aap Apne Blog Ka Naam Daal Sakte Hai, Joh Aapke Liye Copyright Ka Kaam Karega.
Also Read- Blogger Mein Template Kaise Upload Karein
2. Powered By Blogger Kaise Remove Kare?
Method 1: CSS Editing Se "Powered By Blogger" Remove Kare
March 1998, Mei Pehle CSS Ka Used Kiya Gaya Tha. CSS Ek Style Sheet Language Hai Jiska Used Markup Language Mein Written Kisi Document Ki Presentation Describe Karne K Liye Kiya Jaata Hai. CSS Ka Design, Presentation & Content Ko Separation Aur Layout, Colors & Fonts K Liye Kiya Gaya Tha. Kisi Documents K Graphic Design Mei Change, Documents Mein Markup Ko Change Karne Ke Liye CSS Ko Use Kiya Jaata Hai.
CSS Editing Ek Aisa Fantastic Technique Hai Jiske Help Se Website Ko Customize Bhi Kiya Jaata Hai. CSS (Cascading Style Sheet) Kuch Rules Pe Base Kar Bante Hai Or Ise ''Coding Language'' Kaha Jaata Hai. Iske Help Se Aap Apni Website Ko Ek Perfect Look De Sakte Hai.
Chaliye Ab Jannte Hai CSS Editing Se Kaise Edit Kare. Mein Kuch Steps K Jariye Aaplogo Ko Samjhane Ki Kosis Karunga. Jaise-
Step-1: Blogger Dashboard Par Jaaye.
Step-2: Apne Blog Ko Select Kare Jise Aap Footer Se Remove Karna Chahte Hai.
Step-3: Theme Par Jaaye.
Step-4: Customize Par Click Kare.
Step-5: Left Side Mein Advanced Option Dekhegi.
Step-7: Advanced Option Mein CSS Ko Select Kare Jo Right Side Me Dekhegi.
Step-8: Css K Jagah Mein Code #Attribution1{display:none;} Likhe.
Step-9: Blog Par Apply Karein Aur Apne Blog Ko View Kare.
Yeh Tha Method 1. Inhe 9 Steps Ko Follow Kar Aap "Powered By Blogger" Ko Hata Sakte Hai.Yeh Bahat Hi Simple Aur Less Time Consuming Process Hai.
Ab Hum Chalte Hai Method 2 Ki Aur, Jo HTML Widget Ki Help Se Hoga.
Method-2: HTML Widget Se "Powered By Blogger" Attribution Remove Kare
1980 Mein Physicist Tim Berners-Lee ,CERN Ke Contractor Ne Research Aur Documents Ko Share Karne K Liye HTML Ka Used Kiya Tha.
Hyper Text Markup Language (HTML) Ek Standard Markup Language Hai Jiska Used Web Page Create & Web Applications K Liye Kiya Jaata Hai.
HTML Widget Ek Browser Based Application Hai, Jisme Ek Small Functionality Hai. Yeh Different Sources Se Aane Wale Data Ko Display Karta Hai.
Chaliye Jaante Iske Steps-
Step-1: Blogger Par Jaaye.
Step-2: Dashboard Se Apne Blog Ko Select Kare.
Step-3: Theme Par Jaaye.
Step-4: Edit HTML Par Click Karein.
Step-6: "Jump To Widget" Par Click Karein.
Step-7: Attribution 1 Par Jaaye.
Step-8: Attribution Code Dekhai Dega, Woha Pe "True" Ko "False" Likhe.
Step-9: "True" Ki Jagah Mein "False" Likhe.
Step-10: Tab Aapka Code Ho Jayega "False". Iska Matlab Apne Manually Remove Kar Diya.
Step-11: Ab "Layout" Par Jaaye.
Step-12: "Footer Attribution" Par Jaaye Aur "Edit" Par Click Kare.
Step-13: Aapko Woha Pe "Remove" Option Dekhayi Dega.
Step-14: "Remove" Option Pe Press Kare.
Yeh Tha Method 2. Aap Inhe 14 Steps Ko Follow Kar Simply Blog Se "Powered By Blogger" Remove Kar Sakte Hain. Sabhi Steps Ko Dhyan Se Read Kare Aur Uske Baad He Apply Karein.
Ab Last Method K Taraf Chalte Hai. Isme Aur Method 1 Mein Bahat Similarties Dekhne Ko Milegi. Chaliye Jante Hai-
Method-3: HTML Mein "Powered By Blogger" Remove Kare.
Mein Pehle He Aapko Bata Dena Chahta Hu Ki Yeh Process Jyada Time Leta Hai Yani Time Consuming Process Hai. Aisa Nehi Hai Ki Aap Iske Help Se Hata Nehi Payenge. Toh Chaliye Jaante Hai Iske Steps-
Step-1: Blogger Par Jaaye.
Step-2: Apne Blog Ko Select Kare.
Step-3: Theme Par Jaaye.
Step-4: "Edit HTML" Par Click Kare.
Step-5: "Ctrl+f" Press Kar HTML Code Ko Search Kare.
Step-6: ]]> </b:skin Is Tarika Ka Code Dekhai Dega.
Step-7: Step 6 Mein Kahi Gayi Code Ki Jagah Aap #Attribution1{display:none;} Code Ko Likhe.
Step-8: "Save Template" Par Click Kare.
Step-9: Thoda Wait Kare.
Step-10: Ab Aap Blog Ko View Kare.
3. Conclusion
Aasha Karta Hu Mitroon Upar Bataye Gaye 3 Methods Aapko Samajh Aayi Hogi. Aapko Kahi Pe Bhi Koyi Difficulty Ka Samna Karna Pare Aur Kuch Bhi Help Ki Jarurat Ho Toh Niche Comment Box Pe Puch Sakte Hai. New Blogger K Liye Meri Suggestion Yeh Hai Ki Ho Sake Toh Mehod 1 & Method 2 Ka Apply Kare. Yeh Two Methods Simple & Less Time Consuming Hai. "Powered By Blogger" Remove Kar Aap Apne Blog Ko Ek Perfect Look De Sakte Hai. Jai Hind!
It's fabulous...... A step forward leads to the highest point of success.....
ReplyDeleteKeep it up Sir.... 😊😊